Tuesday, 23 December 2014

Ek din chala jaunga

Ek din chala jaunga
Fir na kabhi laot ke aaunga

Teri aankhen dekhti rahengi mera rasta
Tu pukaregi tab bhi na aaunga

Reh jaunga ek yaad bankar
Teri aankho se behta ek sabab bankar

Jab - jab to un lamho ko yaad karegi
Tab - tab tujhe meri kami satayegi

Har nazar me tu mujhe payegi
Un yadoon me mera aks payegi

Yaad karegi tu meri mohabbt ko
Jo tujhe har waqt rulayegi

Ha ek din chala jaunga
Fir na  kabhi laot ke aaunga...

Monday, 1 December 2014

Muhabbat me chahat ke sath sath

Muhabbt me chahat ke sath sath akhir itna dard kyu hota hai?

Sachchi or bepanah muhabbat karne walo ke sath hi aisa kyu hota hai ki jo dil ke bht pas hote hai wo najro se bahut dur kyu hote hai?
Unki har soch har baato me ye shayed bar bar kyu hota hai?

Pyar to nasib hota hai uska sath hume nasib kyu nhi hota?

Aksar muhabbat me ye judai kyu hoti hai?
Juda to ho jata hai wo par jate jate hamari aankho me aansu kyu chhor jata hai?

Kyu hume in aansu se v muhabbt ho jati hai?
Agr pyar khushi hai to isme itni taklif kyu hoti hai?
Kyun hoti hai ?