Kaha kho gaya wo mera bachpan
Aaj bhari tanhai me yaad aaya wo mera bachpan
Jo kabhi meri hoto ki muskurahat bana karta tha
To kabhi meri aankho ka aansu
Wo bachpan jisme sirf khushiya ki geet gungunaya karti thi
Na koi soch thi aur na koi fikar
Wo bachpan jab humari galtiyo pe humare maa- baap has ke muaf kar diya karte the.
Wo bachpan jab hum logo se najre chura ke maa ki good me chip jaya karte the..
Wo bachpan jaha hum apne hum umar dosto ke sath khela karte the
Kash ki laot aaye wo mera bachpan
Aaj bahri tanhai me yaad aaya
Wo mera bachpan.....