Saturday, 29 July 2017

Dard deti hai mujhe ab humdardi har shaks ki

Dard deti hai mujhe ab humdardi har shaks Ki...

Meri duniya viraan ki logon ne dilasa de de kar....!!!!

Tuesday, 18 July 2017

Kamal ka shaqs tha wo

Kamal ka Shaqs tha wo meri zindagi me

Khela bht magar khamoshi ke sath...!!!!

Friday, 7 July 2017

Ek muddat se kehni thi us sey ek baat

Ek Muddat se kehni thi us sey ek baat

Usne Suna to sahi

Magar ajnabi bankar..!!!!

            (Tabish Ahamd Hussain)

Wednesday, 5 July 2017

Yaha to sab apne hai

Na kisi se gila hai
Na kisi se shikwa

Shikayat kare to kisse kare
Yaha to sab Apne hai..!!!

Thursday, 29 June 2017

Rodhni me guzar rahi thi zindagi meri

Roshni me guzar rahi thi zindagi meri

Achanak andhera dastak de gaya..!!!!

Sunday, 25 June 2017

Aaj bhi chand ki jhalak dekhi humne

Just for Indian Army Whose Sacrifice All Things For Our Country

Aaj bhi Chand ki jhalak dekhi maine

Aaj bhi yahi sochta hu wo kaise eid manayenge jo humse koso door barf ki ret par Apne  Desh ke liye khara hai..!!!!

Tuesday, 20 June 2017

Sanso ka safar kuch v nhi

Sanso ka safar kuch v nhi
Jo tu nhi to mai nhi..!!

Mere bina tu v nhi
Tujh se shuru tujh pr khatm..!!

Tujh pe hi meri sham hai
Tere liye hun tujhi se hu mai
Tere bina mai kuchh v nhi..!!

Khush hun k hai tu Mera aina..

Mujh sa dikhe
Mujh sa hai tu
Jo tu nhi to mai nhi
Mere bina tu v nhi.....!!!!

Saturday, 17 June 2017

Maangte rahe hum jise duaon me

Maangte rahe hum jise duaon me
Aaya hai aaj wo mere samne

Use kahu jaan hai tu
Ya kahu tu dua hai meri....

Friday, 19 May 2017

Aaj bhi wo unke khayaloo me

Aaj bhi wo unke khayaloo me is kadar khoye rehte hai "Tabish"

Ki kya bataye Takleef Hoti hai is Dil ko ki unka is kadar aur Itna Tadapna...!!!!

Sunday, 14 May 2017

Is daur ka tajir hu mai

Is Daur ka Tajir hu mai

Mohabbat samjhta to hu
Mohabbat karne ki himmat nahi rakkhta...

Tuesday, 9 May 2017

Bus ab aur na sitam kar mujhpe

Bus Ab aur na Sitam kar mujhpe ae Janewafa

Dil bhar aaya teri Wafa dekhkar...!!!!

Sunday, 7 May 2017

Kya chupaoo mai tujhse ae humnawa

Kya Chhupao Mai
Tujhse Ae Humnawa

Mai Aaina Hu Mere Dil Me Koi Raaz Nahii..!!!

Wednesday, 26 April 2017

Khuda ka shukar hai ki mere Ma Baap

Khuda ka shukar hai ki meri "Maa" "Baap" Zinda Hai...

Jaha bhi chalta Hu "Duayein" Sath Le Jata hu...!!!!!

Tuesday, 25 April 2017

Jinhe zindagi pyaari hoti hai

Jinhe Zindagi Pyaari Hoti Hai  " Tabish"

Wo Zindagi Se Khela Nahi Karte....

Aur Jo Khela Karte Hai " Tabish "

Wo Zindagi Ko Jeeya Nahi Karte...!!!

Bus ab aur nahi

Bus ab aur nahi

Dekh li teri Mohabbat
Tere Sitam
Aur Teri Wafa ...!!!!

Sunday, 23 April 2017

Ab koi Talluq nahi tujhse mera

Ab koi Talluq nahi tujhse mera

Tune to apna kehne ka haq bhi mujhse chin liya...

Saturday, 22 April 2017

Galatfahmiya dooriya badha deti hai

Galatfahimiya dooriyan badha deti hai "Tabish"
Suna Tha Aaj Dekh Bhi Liya ...

Kaise bhoolo mai tujhko

Kaise bhoolo mai Tujhko

Tu jarurat nahi meri Mohabbat hai ..!!!

Thursday, 20 April 2017

Nashihat chahiye too Maa Baap se le lo Tabish

Nashihat chahiye too Maa Baap se le lo Tabish

Apni Khushiyo Ko beach kar tumhe khush rakhte hai ..!!!

Rooz teri liye mohabbat badhti hai

Rooz Tere liye mohabbat badhti hai

Aisa kya hai tujhme jo mujhe teri or khichti hai..!!!

Written by Tabish Ahmad Hussain

Dil o jaan se jada karunga

Dil-O-jaan se jada karunga hifazat Teri..

Buss ek brr tu keh de mai amanat hun teri ..!!

Written By Tabish Ahmad Hussain

Tuesday, 18 April 2017

Meri pehchaan aapse hai papa

Meri Pehchaan aapse hai papa,
Kya kahun mere liye aap kya ho papa,
Rehne ko hai pairo ke neeche ye zameen,
Par mere liye toh mera aasman aap ho papa..

Main kehta aaya bachpan se har choti cheez dila do,
Nahi khaunga khana, mujhe bas aakhri baar dila do,
Mujhe rote dekh papa aap pbhi pigal jaate they,
Agle din ka vaada karke, agle din jarror le aate they,

Yaad aati hai bachpan ki woh yaadein,
Jab aap jate they bahar aur hum apko yaad kia karte they,
Mummy se har thodi der mein "Kab aayenge Papa" poocha karte they,
Kyunki rehta tha us dulaar ka intezaar jisme din ke lamhe they kul chaar..

Aaj bhi yaad aatey hai bachpan ke woh din,
Jab ungli meri pakad kar apne chalna sikhaya,
Is tarah zindagi mein chalna sikhaya,
Ki aindagi ki har kasauti par apko apne kareeb paya,

Papa ek din kya apke Naam kar du,
Keh do ek baar, apni Jaan apke naam kar du,
Apne hi toh in saanson ko zindagi di hai,
Aur apke hone se hi "Tabish" ki pehchaan bani hai..

Ab bhi jab yaad aa jata hai meri "Bachpan" ka woh din,
Dil bhar aata hai, aansu aa jate hai, Tanha ho jata hu,
Sochta Tha- akela rahungi ek naye shehar mein kaise apke bin,
Soch kar hi pareshaan ho Jaata hu...

Par aap toh ho hamesha mere dil mein, yeh shehar kya dooriyan baant sakega,
"Tabish" ko Dil mein ek baar yaad kar lena, koi aur jyada "Tabish ke siwa" kareeb nahi dikhega..

(Tabish Ahmad Hussain)

Tujhse bss itna sa taaluq hai

Tujhse bsss itna sa taaluq hai "Tabish"
Tu pareshan ho toh mujhe chain nhi milta..

Sunday, 16 April 2017

Jiske liye itna roya

Jis ke liye itna Roya

Uske aankh me aansu nahi..

(Tabish Ahmad Hussain )

Tune to zindagi hi chin li

Maine to tujhse zindagi mangi thi

Tune to zindagi hi chin li..!!!

(Tabish Ahmad Hussain)

Mera ghar suna hai tere begair

Mera Ghar Suna Hai Tere Begair

Tabish Tu Bht Yaad A Raha Hai..

( Tabish Ahmad Hussain)

Saturday, 8 April 2017

Bht khubsurat ho tum

Bht khubsurat ho tum kya aur tareef Karu mai teri

Tu ajijyat hai meri tu hi Chahat hai meri ..!!!!

Tuesday, 4 April 2017

Gum ne picha kabhi nahi chora

Gum ne picha kabhi nahi chora
Phir bhi khilta Gulab jaisa hu

Padh Sako to jarur padhlena
Mai khulta kitab sarap jaisa hu..!!!

Sunday, 26 March 2017

Mai tumhare badolat sab ko bha gaya

Mai tumhare badolat sab Ko bha Gaya

Jisse mai khushboo bana wo sandal tumhare pass hai..!!!!

Friday, 24 March 2017

Dard seh raha hu


Dard Seh Raha Hu
Ashkoon Ko Pi Raha Hu..

Fir Bhi Khil Raha Hu
Mai Ek Gulab Ki Tarah..

Log Puchte Hai Hal Mera
Tabish Keh Raha Hai..

Jee Raha Hu Zindagi Ko
Zindagi Ki Tarah..!!!!

Monday, 13 March 2017

Kya sawal karu tujhse ae zindagi

Kya sawal Karu tujhse ae zindagi

Tune to jawab mangne layak nahi chora..

Tune phir thukra diya to kya hua

Tune phir thukra diya to kya hua
Zakhm fir Taja Hua To Kya Hua..!!
Apne Milan me ek haa ki der thi
Tujhse wo bhi na hua to kya hua..!!
Ek saada Dil tere ishq me
Bewajah ruswa hua to kya hua..!!
Tere jane se hua kuch to nahi
Dard agar zaida hua to kya hua..!!
Jisko chaha humne sari zindagi
Wo humara nahi hua to kya hua..!!
Aur bhi honge hazaro Dil -e -Ghayal
Mai agar tanha hua to kya hua..!!

Written by Tabish Ahmad Hussain

Tuesday, 7 March 2017

Kisi ko bheek deke uska

Kisi ko bhik deke uska manobal mat badhao

Koshish karo  koi saman de kar usko rozgagar se lagao..!!!!

Monday, 6 March 2017

Maa ko muskurata dekh lo

Puri Qayanat Ke Hasina -ae- Aalam Ko Muskura Kar Dekh Lo Ajab hai

Maa ko Muskurata Dekh Lo Haj Ka Sawab Hai..!!!!

Saturday, 4 March 2017

Suna hai mohabbat ke

Suna hai Mohabbat ke sagar bahot gehre hote hai

Doobne wale ko kinara nahi mila karte..!!!!

Friday, 24 February 2017

Na jane wo jhoot ka sahara kyu le baitha

Ek sach hi sunne ki khawish thi ussey

Tabish Na jane wo jhoot ka sahara kyu le baitha..

Tuesday, 7 February 2017

Wo bachpan ke din

:-) Kuch shabd bachpan ki yadoo ke nam :-)
👇
👇
👇
👇
Wo Bachpan ke din
Bahoot suhane hua karte the
Wo ma ki goud me hum baitha karte the
Wo Aunty ki goud me hum roya karte the
Jab hum rote to ma ki mamta hume chup karaya karti thi
Humare aasuon ko wo pucha karti thi
Mera babu mera babu keh ke chup karaya karti  thi
Aur apni goud me mamta ki chao me hume sulaya karti thi
Wo bachpan ke din bht suhane hua karte the..