Tune phir thukra diya to kya hua
Zakhm fir Taja Hua To Kya Hua..!!
Apne Milan me ek haa ki der thi
Tujhse wo bhi na hua to kya hua..!!
Ek saada Dil tere ishq me
Bewajah ruswa hua to kya hua..!!
Tere jane se hua kuch to nahi
Dard agar zaida hua to kya hua..!!
Jisko chaha humne sari zindagi
Wo humara nahi hua to kya hua..!!
Aur bhi honge hazaro Dil -e -Ghayal
Mai agar tanha hua to kya hua..!!
Written by Tabish Ahmad Hussain
No comments:
Post a Comment