Sunday, 26 March 2017

Mai tumhare badolat sab ko bha gaya

Mai tumhare badolat sab Ko bha Gaya

Jisse mai khushboo bana wo sandal tumhare pass hai..!!!!

Friday, 24 March 2017

Dard seh raha hu


Dard Seh Raha Hu
Ashkoon Ko Pi Raha Hu..

Fir Bhi Khil Raha Hu
Mai Ek Gulab Ki Tarah..

Log Puchte Hai Hal Mera
Tabish Keh Raha Hai..

Jee Raha Hu Zindagi Ko
Zindagi Ki Tarah..!!!!

Monday, 13 March 2017

Kya sawal karu tujhse ae zindagi

Kya sawal Karu tujhse ae zindagi

Tune to jawab mangne layak nahi chora..

Tune phir thukra diya to kya hua

Tune phir thukra diya to kya hua
Zakhm fir Taja Hua To Kya Hua..!!
Apne Milan me ek haa ki der thi
Tujhse wo bhi na hua to kya hua..!!
Ek saada Dil tere ishq me
Bewajah ruswa hua to kya hua..!!
Tere jane se hua kuch to nahi
Dard agar zaida hua to kya hua..!!
Jisko chaha humne sari zindagi
Wo humara nahi hua to kya hua..!!
Aur bhi honge hazaro Dil -e -Ghayal
Mai agar tanha hua to kya hua..!!

Written by Tabish Ahmad Hussain

Tuesday, 7 March 2017

Kisi ko bheek deke uska

Kisi ko bhik deke uska manobal mat badhao

Koshish karo  koi saman de kar usko rozgagar se lagao..!!!!

Monday, 6 March 2017

Maa ko muskurata dekh lo

Puri Qayanat Ke Hasina -ae- Aalam Ko Muskura Kar Dekh Lo Ajab hai

Maa ko Muskurata Dekh Lo Haj Ka Sawab Hai..!!!!

Saturday, 4 March 2017

Suna hai mohabbat ke

Suna hai Mohabbat ke sagar bahot gehre hote hai

Doobne wale ko kinara nahi mila karte..!!!!