Jisne andhero me zindagi bitayi ,
Use roshni ka kya pata.
Jisne gumo ko khushiya samajh ke bitai,
Use khushiyo ka kya pata.
Jinse apna bachpan zimmedariyo me kho diya,
Use apne bachpan ka kya pata.
Jisne zakhmo ko malaham ki tarah. badan pe laga liya,
Use rahat ka kya pata.
Jisne har raat apni neendi jag ke bitaye hai,
Usne need ka kya pata.
Jisne apne khushiyo ko dusro ko de di,
Usne apni khushiyo ka kya pata.
Jisne apni zindagi ke auro ke naam kar di,
Use apni zindagi ka kya pata.
'Tabish' Tu pehla kaisa tha kaisa hai or kaisa hogaya hai
Jaisa bhi hogaya hai ,
Un muskurahati aankho ka jawab tha tu
Mayoosi bhari nigaho ka khawab tha tu
Or jo kabhi kisi ke aankho se na utar saka
Aisa sabab tha tu..!!!!
No comments:
Post a Comment